Yaad aata hai humko aath pahar mastana vo jalwa tera Sanam,
Hai kaif-e-bahare Sham-o-Sahar Lahra ke vo milna tera Sanam.
Jo teer hai teri Aankhon mein usme hai baqa ki Ranai,
Dil mera dua’en karta hai, Chooke na Nishana tera Sanam.
Phir sari kahani hum samjhe, Phir phool khile hai Zakhmo'n ke,
Jo dil pe laga aur Ishq hua, Vo vaar tha tera pehla Sanam.
Roothi thi abhi tak sab khushiyan ek dam se chitakti hain kaliyan,
Hai Eid hamare dil ke liye Vade pe vo Aana tera Sanam.
Ye Dil ki lagi ka kissa hai, Is per koi hairat mat karna,
Hum Jaagti Aankhon se dekhen din raat hi sapna tera Sanam.
Milne ke liye tu ayega Jazbon ka Chaman mahkayega,
Ek shakhs ne humko aaj diya paighaam-e- tamanna tera Sanam.
Kab chaak hua tha Daman-e-dil Iska to pata humko na chala,
Bus sirf yahi hai yaad hame pahlu me machalna tera Sanam.
Kya shokh nigahen teri uljha hai Isi me hosh-o-khirat
Lagta hai vahi sach dil ko mere hai Asl me Jhansa tera Sanam.
Ek khaas Ada se Sanvarta hai, Jaadu vo ‘Suhail’ pe karta hai,
Vo Chand se bhi zyada hai Hasi’n, Chehra vo chamakta tera Sanam.
-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-SUHAIL KAKORVI

Post a Comment