Safar pe ja raha tha wo kahan ye kuch pata nahin
Mujhe udaas dekh kar wo ruk gaya gaya nahin
Tamaam jism jal gaya judaiyon ki aag men
Magar ye sakht fikr hai ki dil abhi jala nahin
wo aitbaar jis pe tha mera aur uska raabta
wo aitbaar ab kahan wohi to ab raha nahin
Na jane kya talash na jaane kya hai aarzu
Ajeeb tera rang hai kahin pe tu tika nahin
Wo aagaya to khoob hai na aaye wo to kya gila
Wo apni dhun men mast hai nahin wo bewafa nahin
Har aik pee ke mast hai har aik maiprast hai
Ki mausame bahar men koi bhi paarsa nahin
Use mili hain wusaten nigahe lutfe yaar se
Suhail manzile yaqeen suhail raasta nahin
_____________________________________________SUHAIL KAKORVI
MAIPARAST=SHARAAB KA PUJAARI,PAARSA=GUNAHON SE DOOR RAHNE WALA,WUSATEN =VISTAAR,LUTFEYAAR=PREYASI KA SNEH

Post a Comment