Hazaron baar humne aik rakha doosra rakha
Bahot majboor hokar naam tera bewafa rakha

Tadap dekar gaya hai mujhko koi chahne wala
Tadap ko isliye maine kaleje se laga rakha

sitam aadat hai uski aur wo majboor hai khud se
sitam karne ki khatir usne humse wasta rakha

use duniya ke jhagdon se hamen aazaad karna tha
Bahot socha phir uske saamne aaina la rakha

na jane kaise bahosho hawaas[hosh ki haalat men] aaye hain wapas hum
na jane kaise uski bazm men dil ko bacha rakha

chale aao tumhari zindagi ho jayegi roshan
sitaron ka saman palkon pe hai hum ne saja rakha

Bus uske baad se dil ka pata milta nahin humko
Suhail usne hamara naam jab se dilruba rakha
       ^
har baar rooth kar nai duniya basayega
har baar mere paas wo phir laut aayega
-----------------------------------------------------------------SUHAIL KAKORVI
0 Responses

Post a Comment