Nazar ko Uski mohabbat she’aar karta hoon,
Mai apna daman-e-dil taar-taar karta hoon.

Haseen jheel ki manind uski aankhen hain,
Mai doobne ki ada ikhtiyaar karta hoon.

Zamane wale to surat parast hain lekin,
Mai uske tarz-e-shararat se pyar karta hoon.

Ye paas-eahad hai apna sharab-o-sagar se,
Jo tujhko tang tahajjud guzaar karta hoon.

Wafa pe uska nazariya alag hai mera alag,
Vo ek baar to mai baar-baar karta hoon.

Hasin nazare mere aas-paas rahte hain,
Mai apne yaar ka jab intizaar karta hoon.

Ye baat sunke talatum me hain mere jazbe,
Vo kah raha mai accha shikaar karta hoon.

Yahi sahi tujhe paivast khud me karna hai,
Nazar ke teer ko mai dil paar karta hoon.

Mai aarzo ke lahu se chaman sajata hoon,
Mai apne rang me jashn-e-bahar karta hoon.

‘Suhail’ mujhme koi mujhse rooth jata hai,
Mai uski baat pe jab aitbaar karta hoon.
0 Responses

Post a Comment