Khud Husn-e-dost ban gaya Parda Nigah ka,
Hai Dil Fareb sara tamasha Nigah ka.
Usne Nazar milai to hairaan kar diya,
Aaina Aaj toot ke bikhra Nigah ka.
Ab Toore dil pe ayegi taza bahare barq,
Karta hai raks kaif me shoola Nigah ka.
Masti pe uski kitne bhawar ho gaye fida,
Sailaab per hai Aaj to dariya Nigah ka.
Inkaar ke vo lakh Ishare kiya kiye,
Kahna koi bhi maine na mana Nigah ka.
Kar dunga Mast aapko Saaghar banunga mai,
Kafi hai mujhko ek Ishara Nigah ka.
Zakhme jigar banenge nigare chaman ka aks,
Ab dekhna ‘Suhail’ karishma Nigah ka
----------------------------------------------------
Mearnings- Barq- Bijli, Raks- Nrtya, Kaif- Harsh,
Saagar- Madira ka pyala, Aks- Pratibimb,
Toor- Pahad jis per Ishvar ki jyoti ka Ansh pada
Aur vo jal kar raakh ho gaya, Nigar- Premika.

Post a Comment