Maine kaha khayal-e-wasl, usne kaha k khwab hai,
Maine kaha faroog-e-husn, usne kaha hijaab hai.
Maine kaha ke baat maan chehre ko benaqaab kar,
Usne kaha ki zid na kar deed ki tujhko tab hai.
Maine kaha khabar nahi kyun tujhe kainaat ki,
Usne kaha ki shabab ki kaifiyatey shabab hai.
Maine kaha khwab me dekhe hain gesuye hasin,
Usne kaha zindagi teri ab pechotab hai.
Maine kaha Kharab hoon gardish-e-chashme-mast se,
Usne kaha rakhs kar sara Jahan kharab hai.
Maine kaha sukoo’n nahin gum ki siyah raat me,
Usne kaha ki fikr kya jaam hai aur sharab hai.
Maine kaha Ishq ka tujhko bhi kuch tajraba,
Usne kaha Ishq kya Ishq to lajawab hai.
Maine kaha ‘Suhail’ se raz-o-nayaz khoob hain,
Usne kaha Suhail ka Ishq hi kamyaab hai.
_________________________________________________
Meanings- Wasl- Milan, Faroog- Unnati, Hijaab- Parda,
Taab- Sahan shakti, Kainaat- Sansaar, Shabab- Jawani,
Gesuye hasin- Sunder kesh, pochotab- Utha patak,
gardish- Ghoomna, Chashme mast- Mast Aankhen,
tajraba- Anubhav, raz-o-nayaz- Rahasya se bhari batein.

Post a Comment