Ghazal,
Bar zameene Ghalib=Shabnam ba gulo lala na khali ze ada hai, Daaghe dile bedard nazar gahe haya hai.

Taqdeer badal dega meri usne kaha hai
us shakhs ko wishwaas ka wardaan mila hai 


Aaya jo wo nazdeek to kuch aor khula hai
sunte the ki sakhti se wo pabande haya hai


Pholon ko na ab chhor ke jayengi hawaen
Pholon ka hawaon se ye iqraar hua hai


wo is pe preshaan nazar aye hai yaaron
mujhko hai masarrat ki mera haal bura hai


Tu khud bhi jo chahe to main jaane hi na doonga
ye hausla mujhko teri aankhon ne diya hai

ye us ne mohabbat ki ajab reet nikaali 
wo mujh se bichad kar bhi mere saath raha hai


Matlab to bahot saaf hai is baat ka uski
wada na kiya phir bhi iraadaa to kiya hai

Imkaane baqa jisse hue jaate hain roshan
Sholon se bujhi uski wo mastana ada hai


Tafseel hai pecheeda suhail iski kahun kya
Shokhi se wo kehta hai "wafa teri daga hai".


तकदीर बदल देगा मेरी उसने कहा है
उस शख्स को विश्वास का वरदान मिला है

आया जो वो नज़दीक तो कुछ और खुला है,
सुनते थे की सख्ती से वो पबंदे हया है.

फूलों को न अब छोड़ के जाएँगी हवाएं,
फूलों का हवाओं से ये इकरार हुआ है.

वो इस पे परेशान नज़र आये है यारों,
मुझको है मसर्रत कि मेरा हाल बुरा है.

तू खुद भी जो चाहे तो मैं जाने ही न दूंगा
ये हौसला मुझको तेरी आँखों ने दिया है.

ये उस ने मोहब्बत की अजब रीत निकाली,
वो मुझ से बिछड़ कर भी मेरे साथ रहा है.

मतलब तो बहुत साफ है इस बात का उसकी,
वादा न किया फिर भी इरादा तो किया है.
इम्काने बका जिससे हुए जाते हैं रौशन,
शोलों से बुझी उसकी वो मस्ताना अदा है

तफसील है पेचीदा ‘सुहैल’ उसकी कहूँ क्या,
शोखी से वो कहता है वफ़ा तेरी दगा है. 

0 Responses

Post a Comment