shaam ke wade ka ye kya kar diya
Toone lahra kar sawera kar diya
Isqadar qurbtat badhai yaar ne
Deed ne inkaare jalwa kar diya
Usko pahchanon yahi tha mera kaam
Zindagi de kar ye sauda kar diya
wo darakhsan paikari ankhon men thi
Maine alam men ujala kar diya
Sooraton ka wahm hai dil ki khalish
Usne jaisa jo bhi chaha kar diya
Khud chaman ban kar main rangeen ho gaya
Yun mizaaje husn taza kar diya
Ai suhail ab raqse may ke lo maze
Lo un ankhon ne ishara kar diya

Post a Comment