GHAZAL
Maani se hi mahrum hai aane ka iraada
Bhoola hai koi apna wo jaane ka iraada
Sab uske iraadon pe yahi pad gaya bhari
Mera use har haal main pane ka iraada
Masti men barasne lagin jannat se sharaben
Saaqi ne kiya hi tha pilaane ka iraada
Deevare ana tod ke wo shaan se aaya
main karta raha usko manane ka iraada
Shaid wo samajhta hai ise kaam hai mushkil
Karta hi nahin wo mujhe paane ka iraada
Bus usmen isi rang ki shokhi rahe hardam
Karta rahe wo hansne hansaane ka iraada
Kahti hai hawa teri tamannayen hain shadaab
Ab chod bhi de mujhko bhulaane ka iraada
Aye kash wajood iska kisi tarah se mit jaye
Insan men jo hai jalne jalaane ka iraada
Izhaar kuch aisa tha ki sab ho gaya asraar
Kya khoob tha aalam ko banane ka iraada
Ye azm suhail apna hai jo mil gayi manzil
Dekha hi nahin humne zamaane ka iraada

Post a Comment