ghazal
wo aaye hain wo sar ta pa paseene men nahaye hain
jo maine haal poocha to ada se muskuraye hain

kaha usne zara qabu men rahiye sabr to kariye
kaha hamne ki ham to sabr ghar per bhool aaye hain

Wahi fitnon se darte hain wahi dehshat men rehte hain
wahi jinko mila mauqa to sau fitne uthaye hain

Wo jhanse de ke nikla hai wo iss fan men to Yakta hai
Hamari saadgi hai ham samajh usko na paaye hain

Kaha'n ab reh gai tareekiye wahmo guma'n baaqi
Wo dil ke aasmaa'n per chaand banker jagmagaye hain

Hasi'n haathon se mizrabe wafa ki chot kya Kehna
Suhail isse to saare taar dil ke jhanjhanaye hain
_-------------
tareekiye wahmo guma'n=shak ke andhere,mizraab=wo Chad Jisse sitar ke taar per chot ki Jaati hai aur sangeet phootta hai

Post a Comment