Tarun Prakash Ji ki wall se--
जनाब सुहैल काकोरवी मेरे लिए अभिभावक का दर्ज़ा रखते हैं. उनकी तारीफ़ करना मेरे लिए शायद मुनासिब नहीं है लेकिन उन पर गर्व करने का हक़ तो बनता है. उनकी शायरी की धार तो शायद शायरी से जुड़ा हर इंसान जानता है लेकिन खूबसूरत ख्याल कितनी तेज़ी से उनके दिल में आते हैं और शायरी में ढल जाते हैं, ये शायद कम लोग जानते हैं. कल एक मिसरा मेरे दिमाग में आया थे … "मेरी परछाइयाँ दीवार से बाहर निकलती हैं" … और मैंने उनसे गुज़ारिश की कि अगर उन्हें ये मिसरा पसंद आया हो तो वे एक ग़ज़ल इस ज़मीन पर कहें। उन्हें चुनौती देने का न तो मेरा इरादा था और न ही यह मेरी हिम्मत हो सकती है लेकिन मेरे लिए उनके स्नेह और मोहब्बत कि शिद्दत मुझे तब समझ आयी जब देर रात उनका फोन आया कि उन्होंने एक पूरी ग़ज़ल इस ज़मीन पर कह कर मेरे टाईमलाइन पर पोस्ट कर दी है। मैं उनका बहुत ही शुक्रगुज़ार हूँ और उनके इस स्नेह से अविभूत भी। उनकी इजाज़त से मैं उनकी पूरी पोस्ट आप सबसे शेयर कर रहा हूँ और मुझे विश्वास है कि आप उस ग़ज़ल को ज़रूर पसंद करेगे। आप से इल्तज़ा है कि अगर आपको ये ग़ज़ल पसंद आये तो आप अपने कमेंट ज़रूर दें। शुक्रिया ......
GHAZAL,
mere azeez dost aur shair janaab Tarun Prakash dekhne men to saral lagte hain lekin shaid Ghalib ne unke jaise kisi se mohabbat karke use BUTE MUSHKIL PASAND kaha tha.unki di hui zameen par sher unki hi khwahish par kahe hain magar kaise kahe hain ye hamaara dil hi jaanta hai;main ise kisi ko na tag kar raha honn na publish wochahen to apni wall se ise share karen ya tag karen;
Jafain jo mizaaje yaar se bahar nikalti hain
wo mere deedae khoonbaar se bahar nikalti hain
wahi iqraar hain aalam ke hone ka ye samjhe hum
sadaain jo tere inkaar se bahar nikalti hain
wo shamsheren ki jinko khoon lag jaata hai aashiq ka
wo aksar abruye khamdaar se bahar nikalti hain
Inhi aasaaniyon men hai haqeeqat azmo himmat ki
yahi jo markaze dushwaar se bahar nikalti hain
chaman ki khush ada kaliyon se chin jaati hai sab shokhi
Wo ban kar phool jab gulzaar se bahar nikalti hain
kahan hai husne aalamtaab shaid ho pata unko
wo kirnen jo hade deedar se bahar nikalti hain
inhen sun kar paseena choot,ta hai hosh udte hain
ye kaisi qeematen bazaar se bahar nikalti hain
unhi ko jazbaye insaaniyat ka imtehan kahiye
wo aahen jo dile nadaar se bahar nikalti hai
Ye Rangi kar raha hai aaine ko dilruba manzar,
haya ki surkhiyan rukhsar se bahar nikalti hain.
Suhail is meri taqat par zamane bhar ko hairat hai
Meri parchaiyaan deewaar ke bahhar nikalti hain..
_____________________________________ Suhail Kakorvi
MIZAAJ=SAUBHAU,DEEDAE KHOONBAAR=KHOON SE BHARI AANKHEN,AZMO HIMMAT=SANKALP,MARKAZ=KENDRA;DUSHWAAR=MUSHKIL,JAZBAYE INSANIYAT=MANAUTA,HUSNE AALAMTAAB=DUNIYA KO ROSHAN KARNE WALA HUSN, RUKHSAAR =GAAL,SHAMSHEEREN=TALWAREN,ABRUE KHAMDAAR =TEDHI BHANWEN
MIZAAJ=SAUBHAU,DEEDAE KHOONBAAR=KHOON SE BHARI AANKHEN,AZMO HIMMAT=SANKALP,MARKAZ=KENDRA;DUSHWAAR=MUSHKIL,JAZBAYE INSANIYAT=MANAUTA,HUSNE AALAMTAAB=DUNIYA KO ROSHAN KARNE WALA HUSN, RUKHSAAR =GAAL,SHAMSHEEREN=TALWAREN,ABRUE KHAMDAAR =TEDHI BHANWEN

Post a Comment