kuch phool khila kar chala gaya kuch khwaab dikha kar chala gaya
Ek aag si dil ki duniya men bedard laga kar chala gaya
wo dil ki nigahon ne dekhe barbadiye arman ke manzar
rukhsat hi nahin wo sirf hua toofaan utha kar chala gaya
ye dil ki zamin to khushk rahi ek boond na barsi ulfat ki
wo badal ban kar chaya tha lekin bus cha kar chala gaya
main samajh na paya kyon usne har aik talluq tod liya
wo khud ka hai dushman duniya ko ye baat bata kar chala gaya
wo uska wajoode nazuk tha takraya jo mujhse toot gaya
Qissa ye hua, pathar main bana, aur chot wo kha kar chala gaya
wo raah kahan se dekhega manzil pe wo kaise pahonchega
main shamma ki lau tha mujhko hi wo shakhs bujha kar chala gaya
Hairat se usko ahle nazar sadiyon tak dekhte rehte hain
Tasweer banane wala to tasweer bana kar chala gaya [painting of monalisa or tajmahel etc]
Ab bhi jo "suhail'aa jaye samajh ab bhi to nahin kuch bigda hai
Main bhool bhi sakta hoon kitne wade wo bhula kar chala gaya
___________________________________________________________Suhail Kakorvi

Post a Comment