ghazal'
Munasib dil bahana chahta hai
Tumhare paas aana chahta hai
mitao doorian tum aa bhi jao
jo mausam hai suhana chahta hai
Hamare shauq se hai cheed warna
wo khud parde uthana chahta haih
Hatao haath chehre se khudara
koi wada nibhana chahta hai
shararat to hasin aadat hai uski
kahan wo dil dukhana chahta hai
adaen uski kuch aisi hain jaise
wafa karna karana chahta hai
salame dilrubai se main samjha
wo baat aage badhana chahta hai
churata hai wo is koshish men nazren
wo dil mera churana chahta hai
mulaqate hasin men range shokhi
wo jab kehta hai jaana chahta hai
wo kyon neende udayega batao
jo khwabon ko sajana chahta hai
Hai masti men Suhail aina dil ka
koi ek aks aana chahta hai----------------------Suhail kakorvi

Post a Comment